
Krishn Bihari Noor
kisi se raz-e-mohabbat na ashkar kiya
tiri nazar ke badalne tak intizar kiya
na koi va.ada tha un se na koi pabandi
tamam umr magar un ka intizar kiya
Thahar ke mujh pe hi ahl-e-chaman ki nazron ne
mire junun se andaz-e-bahar kiya
sahar ke Dubte taaro gavah rahna tum
ki main ne aḳhiri sanson tak intizar kiya
jahan se teri tavajjoh hui fasane par
vahin se Dubti nabzon ne iḳhtisar kiya
yahi nahin ki hamin intizar karte rahe
kabhi kabhi to unhon ne bhi intizar kiya

Leave a Reply