
Sajjad Baqar Rizvi
is dil ko kya kahen ki jidhar tha udhar na tha
tha jis pe e.atibar vahi mo’atabar na tha
the raah men hazar koi raah par na tha
hamrah to bahut the koi ham-safar na tha
ahl-e-havas tamam the aghosh va kiye
par apni tarah ek bhi sina-sipar na tha
parvaz thi faza-e-zaman-o-makan se duur
main be-niyaz-e-dahr tha be-bal-o-par na tha
har-su basi hui thi magar DhunDte kahan
ḳhushbu ka koi rang na tha koi ghar na tha
apni hi kuchh kami thi jo nakam ham hue
dil kar-band-e-shauq to tha kar-gar na tha
‘baqar’ hava-e-shauq uḌaa.e phiri mujhe
main ḳhanuman-ḳharab sahi dar-ba-dar na tha

Leave a Reply