ek manzar iztirabi ek manzar se ziyada
dil hai sahil dil safina dil samundar se ziyada
do jahan ki ne.amaton ko do badan se zarb de kar
ek lamha mangta huun banda-parvar se ziyada
ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochta huun
phuul men hoti nazakat kaash patthar se ziyada
hasrat-e-shahr-e-nasiban kya tujhe ma.alum bhi hai
dasht hai abad ya.ani ishq ke ghar se ziyada
chashm-o-lab se pahle ik tishna ta.alluq chahta huun
aur phir asudgi tasnim-o-kausar se ziyada
ek larzida faza hai as.man ki vus.aton men
ik parinda uḌ raha hai apne shah-par se ziyada
bastiyon ke log saare barf hote ja rahe hain
be-ruḳhi achchhi nahin ‘ḳhurshid-akbar’ se ziyada
Leave a Reply