
Mohammad Abid Ali Abid
haa.il hai hijab-e-sharm-o-haya didar to kya guftar to kya
mub.ham hain ishare sab us ke inkar to kya iqrar to kya
altaf-o-karam ki barish bhi jo mujh pe kare sansar to kya
jab us ne na puchha haal mira daryaft karen aghyar to kya
hai dar-ba-dari qismat meri shorida-sari tu hi le chal
taskin-e-dil-e-mahzun ke liye gulzar to kya kohsar to kya
hain azm-e-musafir ke aage ḳhatrat masafat hech bahut
manzil ki talab hai dil men agar ho rahguzar dushvar to kya
tang aa ke mohabbat tark na ki ham garche rahe nakam sada
sarshar the lazzat-e-hasrat-o-gham se hote bhala bezar to kya

Leave a Reply