kuchh nahin likkha hua phir bhi paḌha jaata hai kya
aisi na-maujud ko duniya kaha jaata hai kya
ham-suḳhan tere muḳhatab ka pata kaise karun
bolna tha kya tujhe aur bolta jaata hai kya
ek darvaza aur andar duur tak koi nahin
aate jaate jhank lene se tira jaata hai kya
is andhere men paḌe ik shaḳhs ko dekha kabhi
paanv se Takra.e to banhon men aa jaata hai kya
ham idhar hain hashr uTha dete hain jab uThti hai lahr
tum udhar ho haath uTha do sab suna jaata hai kya
main ki tera tisra gham huun so ye gham bhi to kar
tu ki bas hone na hone par mara jaata hai kya
Leave a Reply