• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Se Kuchh Kahne Ko Tha Bhul Gaya

Tum Se Kuchh Kahne Ko Tha Bhul Gaya

poet

tum se kuchh kahne ko tha bhuul gaya

haae kya baat thi kya bhuul gaya

bholi bholi jo vo surat dekhi

shikva-e-jaur-o-jafa bhuul gaya

dil men baitha hai ye khauf us but ka

haath utthe ki dua bhuul gaya

khush huun is vada-faramoshi se

us ne hans kar to kaha bhuul gaya

hal-e-dil sunte hi kis lutf se haae

kuchh kaha kuchh jo raha bhuul gaya

vaan kis ummid pe phir jaae koi

ai dil us baat ko kya bhuul gaya

hosh men aa ke suna kuchh qasid

yaad kya hai tujhe kya bhuul gaya

ahd kya tha mujhe kuchh yaad nahin

yahi gar bhuul gaya bhuul gaya

main idhar bhuul gaya ranj-e-firaq

vo udhar uzr-e-jafa bhuul gaya

yaad men ek sanam ki naseh

main to sab kuchh ba-khuda bhuul gaya

khair mujh par to jo guzri guzri

shukr vo tarz-e-vafa bhuul gaya

yaad us ki hai miri ziist ‘nizam’

maut aai jo zara bhuul gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tabiat-E-Be-Niyaz-E-Josh-E-Wahshat Ho to Sakti Hai

Anasir Ki Ghani Zanjir Hai

Namaz laDki Mohabbat KHuda Zaruri Hai

asrarul-haq-majaz

Aahang-E-Nau

Mere Qarib Se Guzre Mujhe Sada Bhi Na De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet