hai qaht na tufan na koi ḳhauf vaba ka
is des pe saaya hai kisi aur bala ka
har shaam sisakti hui fariyad ki vaadi
har sub.h sulagta hua sahra hai sada ka
apna to nahin tha main kabhi aur ghamon ne
maara mujhe aisa raha tera na ḳhuda ka
phaile hue har-samt jahan hirs-o-havas huun
phulega phalega vahan kya peḌ vafa ka
hathon ki lakiren tujhe kya samt dikha.en
sun vaqt ki avaz ko ruḳh dekh hava ka
luqman-o-masiha ne bhi koshish to bahut ki
hota hai asar us pe dua ka na dava ka
is baar jo naghma tiri yadon se uTha hai
mushkil hai ki paband ho alfaz-o-sada ka
itni tire insaf ki dekhi hain misalen
lagta hi nahin mulk tira mulk ḳhuda ka
samjha tha vo andar kahin paivast hai mujh men
dekha to mire haath men anchal tha saba ka
Leave a Reply