• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaj Inkar Na Farmaiye Aap

Aaj Inkar Na Farmaiye Aap

poet

aaj inkar na farma.iye aap

shab ki shab ghar mire rah ja.iye aap

ja.iye ghar ko na ghabra.iye aap

ham na mar ja.enge bas ja.iye aap

khol do shauq se band angiya ke

leT kar saath na sharma.iye aap

aate hi kahte ho main ja.unga

main bhi aane ka nahin ja.iye aap

DhunDhte phiriye agar le ke charagh

mujh sa ashiq jo kahin pa.iye aap

umr bhar to na qadam-ranja kiya

aa.iye ab to na tarsa.iye aap

jan-e-mushtaq labon par aa.i

kuchh vasiyyat hai vo sun ja.iye aap

dil samajhta nahin mujh se naseh

aap se samjhe to samjha.iye aap

saya-san shauq men uftan-ḳhezan

saath rahta huun jidhar ja.iye aap

main dikha.un jo junun ki hai sifat

shaan be-rahmi ki dikhla.iye aap

TukḌe TukḌe main gareban ke karun

purze purze mire aḌa.iye aap

shaad ho ruuh agar ba.ad-e-fana

sham-o-gul gor pe bhijva.iye aap

jaan sadqe karun kya maal hai jaan

kaaT duun sar ko jo farma.iye aap

munh pe munh rakkha to bole kya ḳhuub

pahle munh apna to banva.iye aap

ghair kaTne lagen bandh jaa.e hava

mujh se tukkal agar uḌva.iye aap

naam tak luun na kabhi huun vo bashar

ab agar huur bhi ban ja.iye aap

haath se ‘rind’ ko khote ho abas

kahin aisa na ho pachhta.iye aap

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Panchhi uDan Mein Bhi Nahin

Hawa-E-Sabz Ka Jhonka Koi Ghuncha Khilata Hai

poet

Be-Zabanon Ko Bhi Goyai Sikhana Chahiye

poet

Paiham Udasiyon Se Bayaban Hai Zindagi

Ye Saneha Tha Mulaqat Aur Baqi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet