• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Mein Jhanka to Bahut zaKHm Purane Nikle

Dil Mein Jhanka to Bahut zaKHm Purane Nikle

dil men jhanka to bahut zaḳhm purane nikle

ik fasane se ka.i aur fasane nikle

ḳhvab to ḳhvab the a.ankhon men kahan ruk jaate

vo dabe paanv unhen bhi to churane nikle

dekhna ye hai Thaharta hai kahan josh-e-junun

sar-phire shahr-e-nigaran ko jalane nikle

apne ghar sang-e-malamat ki hui hai barish

be-gunahi ki sanad ham jo dikhane nikle

karobar-e-rasan-o-dar ki tash.hir hui

sarfaroshi ke yahan kitne bahane nikle

jin kitabon pe saliqe se jami vaqt ki gard

un kitabon hi men yadon ke ḳhazane nikle

vo sitam-kesh bahr-e-hal sitam-kesh rahe

dard soya bhi nahin tha ki jagane nikle

har taraf shahr men virani ka aalam hai ‘raza’

zindagi kaun kahan tujh ko sajane nikle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-E-Guman Maujud Hai

poet

Surat-E-Barq-E-Tapan Shoala-Fagan uTThe Hain

baiTha Hun Waqf-E-Matam-E-Hasti miTa Hua

Taqdir Ke Aage Kabhi Tadbir Kisi Ki

Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet