gham nahin go ai falak rutba hai mujh ko khaar ka
aftab ik zard patta hai mire gulzar ka
zulf ke halqe men uljha sabza gosh-e-yar ka
ho gaya sang-e-zamurrad khaal chashm-e-mar ka
nakhuda hai maut jo dam hai so hai bad-e-murad
azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yaar ka
khana-e-zanjir se misl-e-sada darta huun ab
yaad aata hai kaf-e-pa men khatakna khaar ka
josh-e-girya ne kiya hai na-tavan itna mujhe
tutna mumkin nahin hai ansuon ke taar ka
kha gai akhir mujhe chashm-e-siyah-e-surmagin
zarq qismat ne kiya hai zangi adam-khvar ka
sai-e-la-hasil mudava-e-mariz-e-ishq hai
thamna mumkin nahin girti hui divar ka
haath qatil ka gareban tak pahunch sakta nahin
aur fart-e-shauq hai yaan zakhm damn-dar ka
phuul jo hai apne gulshan ka sipar ka phuul hai
har shajar is baagh men laata hai phal talvar ka
khatt-e-ru-e-yar se iiza uthai hai zi-bas
sabza se hota hai sadma mere dil ko khaar ka
garche pesh-e-taq-e-abru-e-sanam gesu nahin
kaaba par nargha hua hai lashkar-e-kuffar ka
ai sanam teri karanji aankh se sabit hua
rang ud jaata hai ru-e-mardum-e-bimar ka
yaad men teri raqib-e-ru-siyah jaaga to kya
martaba aali na ho khuffash-e-shab-bedar ka
us pari-ru ke jo kuche ka guzarta hai khayal
ban ke jin saaya lipta hai mujhe divar ka
uth ke divar-e-lahad se murde takrate sar
ik qayamat hai sanam aalam tiri raftar ka
kham nadamat se kiya mehrab men kaaba ke sar
gardan-e-zahid se bojh uttha na jab zunnar ka
zindagi men be-adab hone na de tu roab-e-husn
khaak hai meri pas-az-marg aur daman yaar ka
ai sanam ashiq se ruposhi nahin lazim tujhe
parda muusa se nahin allah ko didar ka
bu-e-gul ‘atish’ kahin hoti hai mahsus-e-nazar
afza hai roz-e-mahshar yaar ke didar ka
Leave a Reply