suraj ne jab shab ka labada pahan liya tha
har ik shai ne apna saaya pahan liya tha
apna uryan jism chhupane ki koshish men
tez hava ne patta patta pahan liya tha
matami kapḌe pahan liye the meri zamin ne
aur falak ne chand sitara pahan liya tha
saara shahr sharik hua tha us ke dukh men
jis din us ne gham ka lamha pahan liya tha
mayusi ke aalam men bhi ai ‘ḳhurshid’
ham ne ik umiid ka rasta pahan liya tha
Leave a Reply