ja-ba-ja hai naghma-ḳhvan
mera dil meri zaban
sunne vaala hi nahin
kya karun qissa bayan
mujh se vabasta na kar
ishq ka sud-o-ziyan
paanv ke niche zamin
aur sar par asman
ḳhud to aage aa gaya
rakh gaya kuchh darmiyan
us ne pheri hai nazar
main abhi tak huun yahan
apni vus.at janch le
ḳhud miTa vahm-o-guman
is ḳharabe ki bhala
ham uḌa.en dhajjiyan
‘iraj’-e-kotah-nazar
kam paḌe donon jahan
Leave a Reply