bura kahne se mujh ko mudda.a kya
koi puchhe to us ne ye kaha kya
sunen ham bhi ki dushman ne kaha kya
bhala jhuTi shikayat ka gila kya
mohabbat ki ye baten hain miri jaan
vafa ki ibtida kya intiha kya
na kiije mujh se ghairon ki shikayat
bhula di aap ne tarz-e-vafa kya
suna hai qais tha laila ka ashiq
mohabbat ho to phir achchha bura kya
javani men ye nadani ki baten
vo kahte hain ki va.ade ki vafa kya
vafa par jaan bhi qurban hai apni
jo puchhe ham ko us ka puchhna kya
khile the us ke lab ghunche ki surat
bata to do ki ‘shankar’ se kaha kya
Leave a Reply