aisa nahin ki us ne banaya nahin mujhe
jo zaḳhm us ko aaya hai aaya nahin mujhe
divar ko gira ke uThaya bhi main ne tha
divar ne gira ke uThaya nahin mujhe
main ḳhud bhi aa raha tha jagah DhunDte hue
yaan tak ye inhidam hi laaya nahin mujhe
mera ye kaam aur kasi ke supurd hai
ḳhud ḳhvab dekhna abhi aaya nahin mujhe
kal niind men charagh ko naraz kar diya
suraj ne aaj sub.h jagaya nahin mujhe
zanjir lazmi hai ki zanjir ke baghair
chalna zamin par abhi aaya nahin mujhe
Leave a Reply