ba.ad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua
aap hi jab rahe nahin naam raha to kya hua
chashm se kya hai fa.eda dil men na ho jo zauq-e-did
shishe men mai na jab rahe jaam raha to kya hua
ham se gharib bhi bhala mujre ke baryab hon
izn tera kabhi kabhi aam raha to kya hua
ghair-e-vafa men puḳhta hain yuun hi sahi pa mujh sa bhi
ek tiri janab men ḳhaam raha to kya hua
ram to tira sabhon se hai ai but-e-man hiran bhala
apne ‘huzur’ se kabhi raam raha to kya hua
Leave a Reply