jalti bujhti hui sham.on ka dhuan rahta hai
kuchh ajab dhund ke aalam men makan rahta hai
ḳhushk dariya hai na dariya pe hai pahra lekin
har taraf pyaas ka ḳhun-rang saman rahta hai
is bhare shahr men mushkil hai tajassus us ka
kis ko fursat jo kahe kaun kahan rahta hai
bhulna sahl nahin vaqt ki sangini ka
zaḳhm bharta hai magar us ka nishan rahta hai
meri a.ankhon men hain sad-rang manazir lekin
kuchh hai ma.adum jo ehsas-e-ziyan rahta hai
niind aati hai kahan ujḌe makan men ‘shahid’
koi aaseb ka har raat guman rahta hai
Leave a Reply