taqdir-e-sham.a jalva-e-janana ban gaya
sho.ala uTha jo us se to parda na ban gaya
jo hal-e-dil tha kaif men tasir-e-dard tha
vo kahte kahte shauq ka afsana ban gaya
jannat ki aarzu se hai jannat ka kal vajud
virana kah diya jise virana ban gaya
yak qatra dil tha mast ka paimana-e-nasib
saaqi ne ki nigah to mai-ḳhana ban gaya
mauqa.a-shanas husn-e-mohabbat ke baab men
apna tha aur hashr men begana ban gaya
us ki talab men jab na raha us ka kuchh lihaz
andaz-e-be-qarar gadayana ban gaya
yuun apne dar se Taal diya us ke naaz ne
andaz-e-lutf-e-ḳhas karimana ban gaya
‘kaifi’ haram ke dar pe tha jo kuchh vo faiz tha
haan but-kade men sajda-e-shukrana ban gaya
Leave a Reply