su-e-maqtal ki pae sair-e-chaman jaate hain
ahl-e-dil jam-ba-kaf sar-ba-kafan jaate hain
aa gai fasl-e-junun kuchh to karo divano
abr sahra ki taraf saya-fagan jaate hain
us ko dekha nahin tum ne ki yahi kucha o raah
shakh-e-gul shokhi-e-raftar se ban jaate hain
vo agar baat na puchhe to karen kya ham bhi
aap hi ruthte hain aap hi man jaate hain
bulbulo apni nava faiz hai un ankhon ka
jin se ham sikhne andaz-e-sukhan jaate hain
jo thaharti to zara chalte saba ke hamrah
yuun bhi ham roz kahan su-e-chaman jaate hain
lut gaya qafila-e-ahl-e-junun bhi shayad
log hathon men liye tar-e-rasan jaate hain
rok sakta hamen zindan-e-bala kya ‘majruh’
ham to avaz hain divar se chhan jaate hain
Leave a Reply