• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zehn Ho Tang to Phir shoKHi-E-Afkar Na Rakh

Zehn Ho Tang to Phir shoKHi-E-Afkar Na Rakh

zehn ho tang to phir shoḳhi-e-afkar na rakh

band tah-ḳhanon men ye daulat-e-bedar na rakh

zaḳhm khana hi jo Thahra to badan tera hai

ḳhauf ka naam magar lazzat-e-azar na rakh

ek hi chiiz ko rahna hai salamat pyare

ab jo sar shanon pe rakkha hai to divar na rakh

ḳhvahishen toḌ na Dalen tire siine ka qafas

itne shah-zor parindon ko giraftar na rakh

ab main chup hun to mujhe apni dalilon se na kaaT

meri TuuTi hui talvar pe talvar na rakh

aaj se dil bhi tire haal men hota hai sharik

le ye hasrat bhi miri chashm-e-gunahgar na rakh

vaqt phir jaane kahan us se mila de tujh ko

is qadar tark-e-mulaqat ka pindar na rakh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

farah-iqbal

Rakh Udti Hui Baalon Mein Nazar Aati Hai

Ek Umr Lagti Hai Aashiyan Banane Mein

Bagh Mein Jugnu Chamakte Hain Jo Pyare Raat Ko

zehra-nigaah

Naya Ghar

abbas-dana

Bewafai Usne Ki Meri Wafa Apni Jagah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet