har rang-e-tarab mausam o manzar se nikala
ik rasta phir sa.i-e-mukarrar se nikala
chalne lagi har samt se jab bad-e-ḳhush-asar
ik aur bhanvar ham ne samundar se nikala
deti rahi avaz pe avaz ye duniya
sar ham ne na phir ḳhaak ki chadar se nikala
kam paḌ ga.i parvaz ko jab vus.at-e-aflak
ik aur falak apne hi shahpar se nikala
ham dil se rahe tez havaon ke muḳhalif
jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala
ab kaifiyat o rang nazar aa.i jo duniya
mausam naya phir apne hi andar se nikala
asar nazar aa.e na sairabi-e-dil ke
thak-har ke sauda-e-numu sar se nikala
Leave a Reply