ḳhali nahin hai koi yahan par azaab se
duniya se mil ke dekh le apne hisab se
us din andheri galiyon men hoga tulu-e-din
jis roz dhuup chhinoge tum aftab se
pi luun zara si aag taḳhayyul unDel kar
kuchh dhuup chhanna hai ghazal ke naqab se
ḳhushbu ne teri rang-e-kasafat uḌa diya
rahat mili hava ko zara is azaab se
dil toḌne ka khel nahin tum pe hi tamam
ham bhi chuka.enge ye udhari hisab se
insan se daur-e-nau ne muravvat bhi chhin li
barish ne sar-varaq bhi utara kitab se
dil ka shajar hara tha to patjhaḌ ka gham na tha
ujḌa hai dil to kaun bacha.e azaab se
Leave a Reply