aap aur ham salam bhi na karen
nafraten itni aam bhi na karen
kuchh na bolen tire ḳhilaf magar
ḳhud se kya ab kalam bhi na karen
kar nahin paa.en gar hifazat aap
qatl ka intizam bhi na karen
kuchh na kuchh ham se kaam hai varna
aap yuun to salam bhi na karen
log hamdardiyan jatane lagen
dard ko itna aam bhi na karen
sirf uljhe rahen siyasat men
log kya kam-vam bhi na karen
Leave a Reply