vo raqs karti mausamon ki shokhiyan nahin rahin
hai shakh-e-gul vahi magar vo titliyan nahin rahin
faza men jaane nafraton ka kaisa zahr ghul gaya
mohabbaton ki sabz sabz kyariyan nahin rahen
vidaa ho ke bhi hai aaj ladkiyon ko fikr ye
qarib un ki raz-dan saheliyan nahin rahin
moamla ajiib sa ye doston men ho gaya
raqib jab se ban gae to yariyan nahin rahin
hamare ahd men kuchh aise masale hain ziist ke
dilon men ishq ki nishat-kariyan nahin rahin
khulus-o-pyar aaj bhi vahi hai khandan men
bas itna hai ‘sukhan’ ki jan-nisariyan nahin rahin
Leave a Reply