• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Waqt Ke Kan Kaun Bhar Raha Hai

Waqt Ke Kan Kaun Bhar Raha Hai

poet

vaqt ke kaan kaun bhar raha hai

vaqt vaise bhi to guzar raha hai

saal do chaar pichhe ho ga.e hain

aa.ina dekh kar sanvar raha hai

kaun rahta hai paar dariya ke

ye jo paani hai kyon biphar raha hai

ye udasi bhi be-sabab to nahin

dil kisi justuju men mar raha hai

thaam kar haath mera hathon men

baat be-bat kyon mukar raha hai

duur hi rahiye dur-tar rahiye

aap se kaun baat kar raha hai

mera saaya bhi mere saath nahin

kya koi mera ham-safar raha hai

kitne baune hue hain vo sabit

ḳhabt jin ka hamare sar raha hai

ek vahshat ka baab ḳhatm hua

ek nashsha tha jo utar raha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Baat Hai Aap Ki Ghazab Ki Baat

poet

Main Nikal Ke Aa Gaya Hun Teri Bandagi Se Aage

ahmad-shahryar

Kun-Fayakun Ka Hasil Yani Mitti Aag Hawa Aur Pani

shad-azimabadi

Kahan Ye Tab Ki Chakh Chakh Ke Ya Gira Ke Piyun

Wo Masaf-E-Zist Mein Har moD Par Tanha Raha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet