kis tarah khilte hain naghmon ke chaman samjha tha main
saz-e-hasti par tujhe jab zaḳhma-zan samjha tha main
kya ḳhabar thi ham-nava ho ja.enge sayyad ke
baagh ka apne jinhen sarv-o-saman samjha tha main
qaidi-e-be-ḳhanuman zindan se chhuTe bhi agar
aur kuchh baḌh ja.enge ranj-o-mehan samjha tha main
tabe-e-gardish hain kis ke inqilabat-e-jahan
kya kahegi teri chashm-e-pur-fitan samjha tha main
is tarah dil chaak hota hai na yuun TukḌe jigar
lala-o-gul hain tire ḳhun-e-kafan samjha tha main
to mila jis ko use kya jaan o tan se vasta
tafraqa tha jis ko rabt-e-jan-o-tan samjha tha main
haqq-o-batil ka ‘asar’ miTne laga jab imtiyaz
taaza hoga qissa-e-dar-o-rasan samjha tha main
Leave a Reply