khali duniya men guzar kya karte
bin tire umr basar kya karte
tu ne manzil hi badal di apni
ham tere saath safar kiya karte
ek hi khvab-e-junun kaafi tha
dekh kar baar digar kiya karte
apni hi uljhanon men uljhe the
ham tiri zulf ko sar kya karte
ham jo divangi men kar guzre
aql vaale vo hunar kya karte
jo kiya tu ne khuda janta hai
ham tire saath magar kya karte
jabki raste men bikharna hi tha
bandh kar rakht-e-safar kya karte
jism ka bojh liye laute the
shahr valon ko khabar kya karte
jo kiya tu ne khuda janta hai
ham tire saath magar kya karte
khud zamin odh li ki ham aage
aur be-samt safar kya karte
Leave a Reply