halak-e-justuju tha hirs ka maara na tha pahle
dahi dil hai magar itna bhi avara na tha pahle
manazir bagh-o-ban ke dil-kusha bhi dil-shikan bhi the
magar fitrat-shikan yuun vaqt ka dhara na tha pahle
jo hota gulshan-e-ḳhubi to hoti shan-e-mahbubi
vahi insan hai lekin shaḳh-e-sad-para na tha pahle
sukun tha saya-e-tuba jo miThi niind sote the
ki har ghar ḳhana-e-askandar-o-dara na tha pahle
chaman ke saath jalna hai safiran-e-chaman ko bhi
tamazat thi magar phulon men angara na tha pahle
ye duniya sa.eban DhunDegi phir agle zamanon men
ki zer-e-asman ye qahr-e-nazzara na tha pahle
main ju-e-nishat-o-gham huun koh-o-bagh-o-sahra men
ki maara hijr ka tha husn ka maara na tha pahle
sitara tha koi jis se munavvar thi ye tanha.i
nazar men zau-fishan ye asman saara na tha pahle
Leave a Reply