mutma.in huun main is ḳhasare par
sab luTaya hai apne pyare par
kis ne rukna hai kis ne jaana hai
munhasir hai tire ishare par
is kinare pe main akela huun
kaun hai dusre kinare par
tu palaT kar kabhi to aa.ega
ji rahe hain isi sahare par
kis liye bad-guman hote ho
naam likkha hai jab sitare par
vo qafas to kabhi khula hi nahin
ham ne be-kar hi sanvare par
ansuon ke nishan zinda rahe
ek tasvir ke kinare par
Leave a Reply