yunhi kar lete hain auqat basar apna kya
apne hi shahr men hain shahr-badar apna kya
raat lambi hai chalo ghibat-e-yaran kar len
shab kisi taur to ho jaa.e basar apna kya
duriyan fasle dushvar guzargahen hain
hai yahi shart-e-safar raḳht-e-safar apna kya
tujh se ab izn-e-takallum bhi agar mil jaa.e
lab hilen ya na hilen aankh ho tar apna kya
jaam phir taaza karo raat bahut lambi hai
kuchh to karna hai miyan ta-ba-sahar apna kya
Leave a Reply