de gaya akhiri sada koi
faslon par bikhar gaya koi
raat ka dard bantne ke liye
rat-bhar jagta raha koi
ek saae ki tarah be-avaz
mere dar par khada raha koi
asman se pare bhi kuchh hoga
umr-bhar sochta raha koi
suukh jaane de tuut jaane de
le udegi mujhe hava koi
ya bana de pahad ka patthar
ya mujhe rasta dikha koi
tod kar jism ke dar-o-divar
aaine men utar gaya koi
Leave a Reply