jo ḳhayal aaya tumhari yaad men Dhalta raha
dil charagh-e-sham ban kar sub.h tak jalta raha
ham kahan rukte ki sadiyon ka safar darpesh tha
ghanTiyan bajti rahen aur karvan chalta raha
kitne lamhon ke patange aa.e aa kar jal-bujhe
men charagh-e-zindagi tha ta-abad jalta raha
husn ki tabaniyan mera muqaddar ban ga.iin
chand men chamka kabhi ḳhurshid men Dhalta raha
jaane kya guzri ki farzane bhi divane hue
main to sha.er tha ḳhud apni aag men jalta raha
Leave a Reply