nadim baagh men josh-e-numu ki baat na kar
bahar aa to gai rang-o-bu ki baat na kar
ajiib bhul-bhulayyan hai shahrah-e-hayat
bhaTakne vaale yahan justuju ki baat na kar
tabah kar na mazaq-e-junun ki ḳhuddari
dil-e-tabah kisi tund-ḳhu ki baat na kar
ḳhud apne tarz-e-amal ko sanvar aur sanvar
mire rafiq tariq-e-adu ki baat na kar
gurez-e-husn ko andaz-e-husn kahte hain
nazar se dekh magar ḳhub-ru ki baat na kar
ye barq-e-husn jalati to hai magar naseh
vo aur shai hai mire sho.ala-ḳhu ki baat na kar
ye mai-kade ki faza kah rahi hai ai ‘aḳhtar’
ki tishnagi men bhi jam-o-subu ki baat na kar
Leave a Reply