ai ishq-e-be-niyaz ye kya inqilab hai
gham kamyab hai na ḳhushi kamyab hai
masti men har fareb-e-ḳhirad be-naqab hai
is vaqt jo gunah bhi kiije savab hai
fikr-e-ma.al-e-ishq na ki ham ne ishq men
malum tha ki ḳhvab hi tabir-e-ḳhvab hai
rusva.iyan hain ishq ki me.araj-e-zindagi
ye tum ne kya kaha ki zamana ḳharab hai
gham par asar nahin hai kisi inqilab ka
aur gham baja-e-ḳhud asar-e-inqalab ka
hasil hai lutf-e-did magar ye ḳhabar nahin
tu be-hijab hai ki nazar be-hijab hai
‘shahid’ baghair vaj.h nahin nazm-e-ka.enat
is bazm-e-naz men koi dil baryab hai
Leave a Reply