kahin pe ḳhvab kahin ḳhvab ka guman nikla
yahan bhi aadmi aḳhir ko be-nishan nikla
sanam tarashe hain tu ne hi apni marzi se
jabin-e-shauq tira hausla kahan nikla
agar azaab se nikle to ye bhi dekhenge
zamin ke kaun se hisse se asman nikla
guzarti shaam ke manzar pe raat hans ke to dekh
mire lahu ka agar sho.ala-e-nihan nikla
Leave a Reply