kya shoḳh-o-shang shai nigah-e-sharmgin bhi hai
chilman se jhankti bhi hai chilman-nashin bhi hai
ghunche shagufe chhoḌne vaale hain anqarib
is ahd-e-ḳhurd-bin men koi durbin bhi hai
apne mizaj hi ke ta.aqub men huun hanuz
farsh-e-sifal bhi falak-e-char men bhi hai
ham aap par na aap karen ham pe e’timad
daman ke saath saath yahan astin bhi hai
takiya karam pe kaise karun main ki naz-e-husn
nukta-navaz hai to sahi nukta-chin bhi hai
karte ho apne shahr ko kya kya malamaten
jis ki kami hai ja ke to dekhun kahin bhi hai
deta hai aadmi ko sahara qadam qadam
ik ta.if-ul-ḳhayal jo hai bhi nahin bhi hai
ruposhi-e-sujud men bhi niyyat-e-numud
Tapka kalank ka mira dagh-e-jabin bhi hai
naql-e-vatan bhi kar ke kahan ja.iyega aap
bandon ki zad pe ab to ḳhuda ki zamin bhi hai
apne ko kitne saanp se Dasva rahe hain ham
mas.hur hain ki vaqt ki nagin hasin bhi hai
kya aap jhuTpuTe ko bhi pahchante nahin
dasti hai jo sabah vo kya rastin bhi hai
jiina idhar muhal hai marna udhar muhal
zahrab bhi vahi hai vahi angbin bhi hai
ham ta.iran-e-arsh ko pichhe se mat pukar
maazi ki yadgar to divar-e-chin bhi hai
shayad janab-e-nuh bhi honge gila-guzar
afsana na-tamam dam-e-vapsin bhi hai
Leave a Reply