• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum uTh Jaenge Mahfil Se to Un Ko Justuju Hogi

Hum uTh Jaenge Mahfil Se to Un Ko Justuju Hogi

ham uTh ja.enge mahfil se to un ko justuju hogi

hamara zikr aa.ega hamari guftugu hogi

ye maana dekhne ko vo zamana ham nahin honge

hamen DhunDegi duniya jab tumhari justuju hogi

kisi ka ḳhun-e-nahaq ra.egan to ja nahin sakta

vafa ka ruup nikhrega mohabbat surḳh-ru hogi

tumhare naam se pahle hamara naam aa.ega

jahan ishq-o-vafa ke silsile men guftugu hogi

baḌa pur-lutf hoga vo niyaz-o-naz ka aalam

nazara tu karega dil nazar se guftugu hogi

farogh-e-jalva-gah-e-naz apni hi nazar tak hai

vahan tak jalve bhi honge jahan tak justuju hogi

tajalli ḳhud bhi parda hai magar jab dil se dekhenge

ba-har-surat nigahon men vo surat hu-ba-hu hogi

nazar ka mudda.a dil ki tamanna kaun dekhega

vo jan-e-arzu hoga to kis ko aarzu hogi

bikhar ja.ega sab husn-e-chaman-bandi ka shiraza

hava-e-sar-kashi men jab faza-e-rang-o-bu hogi

ham is munh bolti bechargi par dam-ba-ḳhud honge

vo honge samne be-ḳhud nigah-e-jalva-ju hogi

saliqa aate aate aaya hai nazron se piine ka

‘rishi’ ab mai-kashi be-gana-e-jam-o-subu hogi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mohabbat Ke Taaqub Mein Thakan Se Chur Hone Tak

Naqsh Pani Pe Bana Ho Jaise

Sufi

Ye Kis Ke Aastane Ki Zamin Malum Hoti Hai

akbar-allahabadi

Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar

poet

dagh Baiana Husn Ka Na Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet