ḳhulus ho to dua men asar bhi aata hai
shajar hara ho to us men samar bhi aata hai
meri sama.at o bina.i chhinne vaale
main sun bhi sakta huun mujh ko nazar bhi aata hai
tumhen charagh bujhane ka zo.am hai lekin
hamen tulu-e-sahar ka hunar bhi aata hai
kalisa o haram o dair mohtaram lekin
inhin ki zad men kahin mera ghar bhi aata hai
falak-nashin sahi mera ḳhuda magar ‘mohsin’
kabhi kabhi vo zamin par utar bhi aata hai
Leave a Reply