aane vaale din ke akhir par
suraj tuuti hui dhaal ki tarah
ufuq par chaspan ek hunut kiya hua sar
kisi surma ka
jo vaqt se haar gaya!
bagule aisi hava aur ek ranga hua ghoda
lahu-luhan dil hamesha ghad leta hai ek duniya apne liye
mohabbat kahin ziyada saffak hai nafrat se
kyun-ki ye achhuti aur ujli hai
us sitare ki tarah
jo kanda hai ek muqaddas qurban-gah ki chhat par
zindagi! hasht!
haan magar maut ek pul hai shikasta aur charcharata
abdiyat ke bojh-tale
kahan hai tumhara rath jo
tarikh se ziyada tez chalta hai
aur kahan hai tumhara jhanda
jis ka saaya
zamin par nahin padta
Leave a Reply