meri ankhon se nahin lagta ki main kis ja se huun
dida-e-hairan vaale main shab-e-yalda se huun
jo bhi lagta huun kisi ko Thiik lagta huun miyan
main kisi bhi ruup men huun yaar ki mansha se huun
is ta.alluq ne bharam rakha hua hai dosta
main to us ke qurb ki poshak ki show sha se huun
main tujhe kaise ye samjha.un zara si der men
ek to mushkil baḌa huun aur phir farda se huun
ek bosa aur le meri jabin ka ishq men
main zamin-e-dil-baran ke aḳhiri raaja se huun
Leave a Reply