dil ajab gumbad ki jis men ik kabutar bhi nahin
itna viran to mazaron ka muqaddar bhi nahin
dubti jaati hain mitti men badan ki kashtiyan
dekhne men ye zamin koi samundar bhi nahin
jitne hangame the sukhi tahniyon se jhad gae
ped par phal bhi nahin angan men patthar bhi nahin
khushk tahni par parinda hai ki patta hai ‘adim’
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
jitni pyari hain miri dharti ko zanjiren ‘adim’
utna pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin
Leave a Reply