• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun

Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun

tire qarib rahun ya ki main safar men rahun

ye aarzu hai tire halqa-e-asar men rahun

shafaq shafaq mujhe dekhe nigah-e-husn-e-shu.ur

naqib-e-mehr banun naghma-e-sahar men rahun

yaqin ki chhanv men tujh ko jo niind aa jaa.e

main tere ḳhvab ki surat tiri nazar men rahun

jamal-e-shahid-e-ma.ani pe jab nikhar aa.e

ḳhayal-e-husn banun aur sher-e-tar men rahun

ye chahta huun ki maiḳhane tak rasa.i ho

agar sifal banun dast-e-kuza-gar men rahun

kabhi phirun main bayaban-e-dil men sargardan

kabhi nigar-e-kam-amez ki nazar men rahun

bana.en ahl-e-nazar surma-e-nazar mujh ko

ghubar ban ke agar teri rahguzar men rahun

tira jamal-e-dil-ara rahe tasavvur men

gulon ki bazm ki main chand ke nagar men rahun

dua-e-nim-shabi vo kare miri ḳhatir

kuchh aisa ban ke dil-e-husn-e-ishva-gar men rahun

mire nasib men ho tere naam ki surḳhi

ki jis ka tujh se ta.alluq ho us ḳhabar men rahun

kisi ki bazm men jaane se fa.eda kya hai

mire liye yahi behtar hai apne ghar men rahun

banun main tere liye vajah-e-lutf-e-lafani

ziya-e-ishq ki surat dil-o-jigar men rahun

tiri hi samt hamesha ho mera qibla-e-dil

hamesha mahv tire husn-e-mo’atabar men rahun

‘zafar’ ye mere liye to azab-e-jan hoga

ḳhuda na-karda ki main shahr-e-be-hunar men rahun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shafaq-E-Shab Se Ubharta Hua Suraj Sochen

Sufi

Shah Apas Kaj Lubhana

Lamhon Ke Azab Sah Raha Hun

Zamin Par Bas Lahu Bikhra Hamara

firaq-gorakhpuri

Jis Tarah Ragon Mein Khun-E-Saleh Ho Rawan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet