dilbar kaha rafiq kaha charagar kaha
jo kuchh bhi tum ko ham ne kaha soch kar kaha
vo tum ki ham ko aaj bhi muḳhlis na kah sake
aur ham ne saari umr tumhen mo’atabar kaha
ye raunaqen jahan ki mansub tum se kiin
phir un tajalliyon ko harim-e-nazar kaha
pursish tiri fareb tasalli tiri fareb
vo dil ki baat thi jise duniya ka Dar kaha
tere nuqush-e-pa ko bataya hai kahkashan
teri gali ke zarron ko shams-o-qamar kaha
sab mutma.in the dekh ke azadiyan miri
mere zamir ne mujhe be-bal-o-par kaha
un par to koi harf na aane diya ‘ziya’
jo guzri us ko gardish-e-sham-o-sahar kaha
Leave a Reply