• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lutf Hi Lutf Hai Jo Kuchh Hai Inayat Ke Siwa

Lutf Hi Lutf Hai Jo Kuchh Hai Inayat Ke Siwa

lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siva

hai mohabbat se siva jo hai mohabbat ke siva

doston ke karam-e-ḳhas se bachne ke liye

koi gosha na mila gosha-e-uzlat ke siva

mujh se shikva bhi jo karte hain to ye kahte hain

kuchh bhi aata hi nahin tujh ko shikayat ke siva

aap ke ḳhat ko main kis baat ka ghammaz kahun

is men sab kuchh hai bas ik harf-e-mohabbat ke siva

jis qadar chaho gunahon pe hanso ḳhuub hanso

ye ilaaj aur bhi hai ashk-e-nidamat ke siva

vo jo kahte hain ki hai fahm o firasat ham se

aise logon men sabhi kuchh hai firasat ke siva

is na.i baat ko bhi ‘arsh’ kabhi socha hai

aaj kal sher men jiddat hai to jiddat ke siva

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Usko Duniya Usi Ko Din Kiya

jigar-moradabadi

Mohabbat Mein Ye Kya Maqam Aa Rahe Hain

poet

Itne Chup Kyun Ho Majra Kya Hai

poet

Jo Kuchh Tha Muqaddar Mein Gawara to Nahin Tha

poet

Mere Nale Par Nahin Tujhko Taghaful Ke Siwa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet