gharaz rahbar se kya mujh ko gila hai jazb-e-kamil se
ki jitna baḌh raha huun haT raha huun duur manzil se
sukut-e-be-mahal taqrir-e-be-mauqa.a ki tohmat kyuun
uThana ho to yuun ham ko uTha do apni mahfil se
ye arman-e-taraqqi aaj hai da.ava ḳhuda.i ka
usi dil ka jo kal tak tha lahu ki buund mushkil se
gul-o-lala pe aḳhir kar raha hai ghaur kya gulchin
ye vo ḳhuun hai jo Tapka tha kabhi chashm-e-anadil se
shab-e-mahtab dariya ka kinara aur ye sannaTa
tumhen is saaz par ham ḳhush karenge naghma-e-dil se
ghazab hai jal ke parvanon ka un ki bazm men kahna
‘ravan’ ya yuun fida ho jaao ya uTh jaao mahfil se
Leave a Reply