sune koi miri ghurbat ki dastan mujh se
bhulaya qissa-e-paiman-e-avvalin men ne
lagi na meri tabiat riyaz-e-jannat men
piya shuur ka jab jam-e-atishin main ne
rahi haqiqat-e-alam ki justuju mujh ko
dikhaya auj-e-khayal-e-falak-nashin main ne
mila mizaj-e-taghayyur-pasand kuchh aisa
kiya qarar na zer-e-falak kahin main ne
nikala kaabe se patthar ki muraton ko kabhi
kabhi buton ko banaya haram-nashin main ne
kabhi main zauq-e-takallum men tuur par pahuncha
chhupaya nur-e-azl zer-e-astin main ne
kabhi salib pe apnon ne mujh ko latkaya
kiya falak ko safar chhod kar zamin main ne
kabhi main ghar-e-hira men chhupa raha barson
diya jahan ko kabhi jam-e-akhrin main ne
sunaya hind men aa kar surud-e-rabbani
pasand ki kabhi yunan ki sarzamin main ne
dayar-e-hind ne jis dam miri sada na suni
basaya khitta-e-japan o mulk-e-chin main ne
banaya zarron ki tarkib se kabhi aalam
khilaf-e-maani-e-talim-e-ahl-e-din main ne
lahu se laal kiya saikdon zaminon ko
jahan main chhed ke paikar-e-aql-o-din main ne
samajh men aai haqiqat na jab sitaron ki
isi khayal men raten guzar diin main ne
dara sakin na kalisa ki mujh ko talvaren
sikhaya masala-e-gardish-e-zamin main ne
kashish ka raaz huvaida kiya zamane par
laga ke aina-e-aql-e-dur-bin main ne
kiya asiir shuaon ko barq-e-muztar ko
bana di ghairat-e-jannat ye sarzamin main ne
magar khabar na mili aah raz-e-hasti ki
kiya khirad se jahan ko tah-e-nagin main ne
hui jo chashm-e-mazahir-parast va akhir
to paaya khana-e-dil men use makin main ne
Leave a Reply