har taraf shor-e-fughan hai koi sunta hi nahin
qafila hai ki ravan hai koi sunta hi nahin
ik sada puchhti rahti hai koi zinda hai
main kahe jaata huun haan hai koi sunta hi nahin
main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti saari
ab mire munh men zaban hai koi sunta hi nahin
dekhne vaale to is shahr men yuun bhi kam the
ab samaat bhi giran hai koi sunta hi nahin
ek hangama ki is dil men bapa rahta tha
ab karan-ta-ba-karan hai koi sunta hi nahin
kya sitam hai ki mire shahr men meri avaz
jaise avaz-e-sagan hai koi sunta hi nahin