ashk ankhon men dar se la na sake
dil ki bhadki hui bujha na sake
na hili jab zaban nazakat se
rah gae dekh kar bula na sake
thiin jo us men haya ki kuchh baten
shikva mera vo lab pe la na sake
kya hue tere hausle ai ashk
harf-e-taqdir ko mita na sake
tha ye khatra kahin pasand na hon
galiyan bhi mujhe suna na sake
go bahut pas-e-ghair tha lekin
aankh ham se bhi vo chura na sake
paanv chuma kiye hina ki tarah
jab koi aur rang la na sake
khamushi thi ba-shakl-e-zakhm mujhe
lab tak apne saval aa na sake
na mali us ne paanv men mehndi
rang apna adu jama na sake
iztirab-e-qaza hua ye ‘nasim’
ki gale bhi use laga na sake
Leave a Reply