shab-e-hijran men dam nikalta hai
kab payam-e-visal talta hai
dil-e-bimar se hai tang masih
daagh se aftab jalta hai
be-zari se huun paemal-e-butan
zor kis ka khuda se chalta hai
dil na le ai sanam barae-khuda
is se kuchh ji mira bahalta hai
atish-e-ishq zulf-e-pechan hai
haddiyon se dhuan nikalta hai
tere hansne pe main jo rota huun
abr manind-e-barq jalta hai
tujh se ai ashk mah-e-furqat ho
rang kya kya falak badalta hai
apne bimar ko na puchh masih
ab koi dam men dam nikalta hai
daagh ka jism-e-zar se hai farogh
khas se jaise charagh jalta hai
sard ya arsh pa-e-qatil par
laash par vo bhi haath malta hai
Leave a Reply