vo aur kuchh nahin ik tarz guftugu ki thi
kaha ye kis ne kabhi teri aarzu ki thi
kabhi bhi apni tabi.at na jang-ju ki thi
vahan ana ki nahin baat aabru ki thi
jo zaḳhm tha to zara ḳhuun hi Tapakta tha
jalan tamam tire sozan-e-rafu ki thi
tira jamal tha ya tha tilism-e-hosh-ruba
lalak ajiib se mujh men bhi justuju ki thi
samundaron ka vo ghussa tha ya zamin ka itaab
tamam shorish-e-tufan mire lahu ki thi
guman guman hai guman hi rahe to achchha hai
sada-e-qulqul-e-mina talab subu ki thi
dahan-e-zaḳhm kahan tha ‘shamim’ kya ma.alum
lahu uchhal ki shiddat rag-e-gulu ki thi
Leave a Reply