• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Umr Musibat Ki Basar Ho Ke Rahegi

Ye Umr Musibat Ki Basar Ho Ke Rahegi

ye umr musibat ki basar ho ke rahegi

jab shaam hui hai to sahar ho ke rahegi

afsurdagi-e-dil gul-e-tar ho ke rahegi

ah-e-sahari bad-e-sahar ho ke rahegi

ḳhud un ke taghaful ki inayat se kisi din

un ko miri halat ki ḳhabar ho ke rahegi

vo barq-e-tajalli jo abhi ka.aba-e-dil hai

ik roz vo masjud-e-nazar ho ke rahegi

ya qabil-e-sajda hi rahega na dar-e-husn

ya meri jabin qabil-e-dar ho ke rahegi

sairab nazar hogi miri ya gul-e-tar se

ya ḳhatm bahar-e-gul-e-tar ho ke rahegi

ab un ki jafa.en nazar-andaz na hongi

ab meri vafa madd-e-nazar ho ke rahegi

jo ghaflat-e-azadi-e-gulshan men kaTegi

us raat ki zindan men sahar ho ke rahegi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ek Nadi Mein saikDon Dariya Ki Tughyani Mili

Kisi Ka Jism Hua Jaan-O-Dil Kisi Ke Hue

Din Dahakti Dhup Ne Mujhko Jalaya Der Tak

Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain

sahir-ludhianvi

Meri Taqdir Mein Jalna Hai To Jal Jaunga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet